Waise to varanasi ek dharmik aur sanskriti city kah skte hai jiske kad kad me bhagwan shiv ki mahima bsi hai ek bhavy sahar ek mathe me maa Ganga bhi sawar hai aur ghato ka kya hi kahna jha dekho ek khubsurat aur sukoon sa pal gujarne ko man kr jata hai.
Meri safar ki suruat ek chote se station se hoti hai jiska name hai kudra jo ki bihar me hai my home village meri station se about 2 hrs ki distance hai by train main varanasi junction pe subah ke 6 bje utra ko aur ek hotel prefer kiya location sigra name hotel Castillo aur bath aur breakfast krne ke baad main pahle nikla ramnagar fort jo ki hotel se 6 km duri pe tha bahut achhi jagah thi kya kahne iss adbhut banaras ki vha se niklne ke baad main nikla Sarnath ke liye jha bhagwan budh ki mahima ka sara vichitra pramarit hai. Vha budh ki pratima aur sangrahalay thi bahut khubsurat Anand tha.aur vha kafi late ho jane ki vajah se raat ki aarti bhi chut gyi.next day
Raat ki sukoon si shanti ke sath neend ke baad ek achhi si subah aur vahi roj ka bath aur breakfast ke baad nikle vha ke sbse famous ghat dashasmedh ghat aur ek thandi si hwa.iske baad main nikla nav ki sawari ke sath Ganga ke uss paar jha apna anand hi kuchh aur hai ghode ki sawari ke sath aur thoda time paas krte hue vha se nikle ghat ki taraf aur uske baad thoda kashi vishwanath temple ke darshan kre hue durga mandir,manas temple,Sankat Mochan mandir aur BHU ke kashi vishwanath temple ke darshan krte hue apni hotel me krte hue ek takha sa sarir ko aaram dene ke liye ek chotti si nind aur saam me vhi dashasmedh ghat pe ek adbhut Aarti dekhne pahuch gye jiska Anubhav ek na bhulne ke barabar tha...