Kashi" (Andar ka sach)

Tripoto
Photo of Kashi" (Andar ka sach) 1/4 by Nishant Tripathi
(Dashaswamedh Ghaat ) Jahan soch vichar sab tham sa jaata hai , maano sabko saare ache bure ka khayaal sa ajaata hai, ek paon thande "Ganga" me jab tum dalte ho tab tumhe dukh ka ehsaas hota hai, Tum dharm ko nahi mante , mat maano magar jab tum yahan aate ho to ek ehsaas leke wapis jaate ho,
Photo of Kashi" (Andar ka sach) 2/4 by Nishant Tripathi
us ehsaas ka naam hai "Kashi" , yaha do tarha ke log rehte hain ek jo us duniya me rehte hain jisko "Kudrat" ne banaya hai aur ek usme jisko "Humare haathon ne" dono duniyao ke vichar kabhi nahi mil sakte.
Photo of Kashi" (Andar ka sach) 3/4 by Nishant Tripathi
Srishti me jab Niyam nahi the to "Jeevan aur Mrityu" me santulan nahi tha, jab jungle me ek Sher kisi janwar ko marta tha tab uspar koi kanoon nahi lagoo hota, bas isi khauf me humne ye duniya banai jo "Kanoon sashit" hai.
Photo of Kashi" (Andar ka sach) 4/4 by Nishant Tripathi
Hum "Prakriti" se "Sanskriti" me aaye . Prakriti me niyam nahi hote (pret , jeev , janwar , gan) Sanskriti me "Sanskaar" hote hain jo niyam badhya hai.

"Insaan agar "sanskriti" aur "Prakriti" ke niyam ko bina samjhe milata rahega to ye dwand kabhi khatm nahi hoga, ye "Dharm ki ladai humesha chalti rahegi" Humari "Indriyan" bhaut kamjor hain (Hum , moh maaya , rog , bhavnaon jaisi cheezo se bane hain, isliye "Insaan" hain ) humari jaan ek kharoch se bhi ja sakti hai, koi dharm ki kitab padhna "Gyan" ke liye sahi hai "magar kisi bhi cheez agar dusre ko nukan pohchati hai" to uska khatm hona jaroori hai, ya to kisi 'Avatar' dwara ya kisi aur tareeke se, "Ye usi kitaab me likha gaya hai, jiske liye tum samne wale ke praan le rhe ho"

"Mera manna hai, ki "Bhagwan" shabd ka matlab hai jo sabse pare hai, jo ek shape, rang-roop me nahi hota" , to us hisaab se "Rog" , "Bhavnayen" , "Dukh" , "Khushi" ye asal me bhagwan hain, jo sabko hote hain bina "Jaati" ke, Jaise burai ka ant karne bhagwan aate hain, ye theek usi tarha aate hain.

Inki pooja bilkul saral hai, Khud ko khush rakhna dusro ko khushi dena bas ye ek matra "Ritual" hai jo hum kahi bhi , kisi bhi tareeke se poora kar sakte hain.

"MERE LIYE KASHI KYA HAI?"

"Jahan ki dharnao par "Jeevan aur Mrityu" mila karte hain , jaha chand log aur 100 crore se jyada dev vas karte hain, jahan "Kankar kankar Shankar hai'' aur jahan "Boond-Boond me hai "Ganga" , vishal ghat aur unpar baste kisse kahaniyo se apna gujara karte log , theek aisa hi to hai "Kashi"