satopanth jane ke liye humne rishikesh se badrinath ke liye local bus li (bus subah 7 baje chalti hai haridwar or rishikesh se) sham ko 6 baje tak hum badrinath pahuche, us din humne badrinath me stay kiya...
2nd day hum log gaye badrinath se laxmivan via mana village, badrinath se laxmivan kareeb 8km dur hai, hum apna stove, khane ka saman, garam kapde, camp or 5lit kerosene oil leke gye the, mana village se laxmivan ka rasta kafi difficult tha magar boht ache ache views the, waha k jo local log hai un logo ne us jagah apne kuch signals bana rakhe hai taaki jo yaatri hai wo rasta na bhatak jaye, un signals se hum logo ko b rasta dhundhne me pareshani nahi hui... hum log achi tarah laxmivan pahuch gaye the or 2nd day humne laxmivan me stay kiya...
3rd day hum gye laxmivan to chakrateerath, chakrateerath laxmivan se 8-9km dur hai, waha ka rasta bhi kaafi difficult tha, waha pr b logo ne apne hi signals banaye hue hai taki yatriyo ko rasta dhundhne me pareshani na ho or 3rd day humne chakrateerath me apna camp lagaya...
4th day gaye hum chakrateerath to satopanth.. ye rasta sbse zyda difficult tha, yaha hume kaafi kam signals dikhai diye jis wajah se hum rasta bhatak gaye the, fr jaise taise hum logo ne apna khud rasta banaya or us raste pr signals banaye taki agar humare jaisi situation kisi or ke sath hoti hai toh usko rasta dhudhne me pareshani naa ho, is raaste me trek nahi tha, lakho-croro tan chattane hi chattane thi, jispar kaafi smbhal kar chalna hota hai, thodi si bhi laaparwahi se durghatna ho sakti hai, or finally 3rd day ki sham ko hum satopanth lake pahuch gaye.. kaha jata hai ki ekadashi ke din satopanth taal me brahma, vishnu, mahesh snaan karne aate hai or wehi se hume swargrohini ke b darshan hue, swargrohini wo jagah hai jaha se Mahabharata ke smaye me yudishtar swarg gaye the...