Finally REACHED PAKISTAN without Visa !

Tripoto
28th Mar 2022
Photo of Finally REACHED PAKISTAN without Visa ! by Bhavya Sharma
Day 1

Dil mei rhi Tammana ka Pura hone ka Waqt aa gya tha. Humesha sochta tha ki kb Pakistan jaunga. Us Dharti pr Jo kbhi EK hi hua krti thi.. Jisko APNI NANI (jinki umar abi 87 hai ) senSunte hue Bde hue hai.

SINGLE DAY TRIP !

ETA (Jo approval hota hai Pakistan enyer hone k liye) aane k baad, taiyari shuru kri jane ki, Phle Pahucha AMRITSAR. Harmindar Sahib k Darshan krne baad, ( Din- 28-March-2022 ) Agle din subah Passenger train🚎 pakdi Subah, 4:20 a:m pr aur wo pahuchi "DERA BABA NANAK" jaha GURU NANAK ji ka chola rakha hue hai, us gurudware ko bolte hai, SHRI CHOLA SAHIB. Unke Darshan krne k baad, finally baari thi KARTARPUR JAANE KI.

Kareeb 1 km waha se paidal🚶chalne k baad mai pahucha 'INDIA IMMIGRATION TERMINAL' pr jo biikul AIRPORT k terminal ki tarah hi bna hua hai.

Waha saare Documents verification hone k baad entry mili "ZERO LINE" cross krne ki.  WO EK AISA EHSAAS THA, Jo SIRF MEHSOOS hi kiya ja Skta hai.

Waha se E-RICKSHAW mei baitha aur 10 mins k kareeb raaste k baad pahucha PAKISTAN IMMIGRATION pr jaha unhone RT-PCR report dekhi, aur fir aage jaane diya.

Fir Xchange karwaye, Indian Rupees ko 20 USD mei, Lekin Dikkat ye hui ki unhone chote note nai liye yani (1USD) k🥺, jo mai INDIA se Laya tha.

Fir jo mere pass jo Indian Cash tha, usko Badalwa kr main aage chala aur Laal rang ki ek bus mei chadd gya, Baba ji k Jai kaare lagate hue, RaVi nadi ko paar krke, hum pahuche SHRI KARTARPUR SAHIB DARBAR, Wo paawan dharti jaha GURU NANAK ji ne apni Zindgi k akhiri 18 Years guzare the.

Time ho chuka tha, 9:30 a:m, Entry point pr, Humko Sb kuch Smjhaya gya ki Kaha kya-kya hai. Tb tk ek idea to lag hi gya tha ki phle kaha jana hai.

Gurudware mei entry krte hi, daaye hath pr bane joota ghar mein joote upar aur fir sidhe gye Baba ji k darshan krne. Dhoop aisi thi maano 1 baj rha ho dophar ka.

Ghumte hue, HUME MILE janab Asad aur unke ek mitra jo ki Siyalkot se the. Unse baatein krke bahaut acha lga.

Fir Thoda ghumne aur darshan krne k baad baj gye 2 k aas paa. Fir pahuche hum "AJEETA JI BAZAR", jo ki Gurudware k parisar k andar hi bna hua hai. Waha kuch khaane ka mann to hua ni kuch kyuki garmi zyada lg rhi th... Han lekin FAMOUS MULTANI HALWA zrur liya (Jo ghar pr sbko bahaut pasand aya ).

Uske baad 3:30 pm tk wapis hum Bus mei baith gye, kyuki 4 pm tk waapis jana hota hai.

Pura din kaise Nikal gya, pta hi nai chala. Agle din ki humne wapis ki Train pakdi aur aa gye apne ghar.

Selfie at Pakistan Entry

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Standing at Entry Gate

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Kirpan sahab

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Selfie with Pakistan Traffic Police

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Entrying to Pakistan

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Train at Dera baba Nanak

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Dera baba Nanak Station (one of the most peaceful station ever been to)

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Kartarpur Sahib

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Outside Campus of Gurudwara

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma

Ajeeta Ji Bazar

Photo of Pakistan Immigration Terminal by Bhavya Sharma