
Jisko karara aur chatpata khaane ka shaunk hai beware unko ye padkar bhukh lagne waali hai toh i request you to arrange the food items beforehand so you are not left hungry.
Chalo shuru karte hain:-
1) Sabse pehle chaaye toh banti hai usi ke baad hi toh khaana aayega, toh hazir hai "Zira" ki chaaye, jo itni karaari hai ki aapke hosh uda degi.
2) Toh ab kuch khaana bhi toh khaana hai so we present the one and only Kesar da Dhaba jahaan aapko saans chad jaayenge after seeing two things:
a) The footfall which this place have.
2) Desi Ghee in which Daal flows.
Aur yahaan ke Naan aur Parantha toh bas pucho hi na(crispy at its best).
3) Agar yahaan ka naan nhi samajh aaya toh pesh hai ambarsariya zaika ka Kulcha jisko chahe ek choti si bite khao ya poora kulcha taste ek hi hai.
4) Agar sabzi kam pad rhi ho toh le chalte hain aapko Saada pind ke restaurant mein jahaan ek se ek sabziyon ka buffet laga hai.
5) Yaar in sab mein Baingan ka bharta reh gya toh "Bharawan da Dhaba" kyun chod diya jaaye.
6) Itna khaane ke baad agar lassi nhi pi toh kuch reh jaayega "Amritsar ke naan aur lassi hi toh mashoor hai jaise ki hum sunte hain". Toh "Gian ki Lassi" bilkul mat chodna. Apni muche banwane ko taiyaar ho jaao.
7) Yaar iske baad i strongly recommend you to take a walk in the market, nhi toh your stomach will burst. Lekin 10 min jab walk ho jaaye toh "Goenka" ki sweets (Pinni and moti choor ke ladoo) khaana mat chodna (desi ghee se kan kan khil jaayega).
8) Guys agar ab 1 percent bhi jagah hai na stomach mein toh usme sirf 1 piece jalebi daal lena "Gurdass Raam" jalebi waale ki. Dhyaan rakhna sirf ek kahin do na khalo.
Guys if your appetite is not filled up yet, toh bhagwan hi maalik hai aapka. Mere bas ka toh nhi hai iske aage.
Guys do like this post if you got water in your mouth.